Quantcast
Channel: Urdu Poetry - 2 Lines Poetry in Urdu, Ghazal, Nazam
Viewing all 4366 articles
Browse latest View live

Dhoondo Ge Ujre Rishton Me Wafa k Khazany

$
0
0
Dhoondo Ge Ujre Rishton Me Wafa k Khazany
Tum Mere Bad Muhabbat Ka Ehtram Karo Ge...

Dhoondo Ge Ujre

Us K Narm Hathon Se Phisal Jaati Hain

$
0
0
Us K Narm Hathon Se Phisal Jaati Hain Aksar Cheezen 

Meri Zindagi Lagi Hai Hath Us K, Khuda Khair Kare...

Us K Narm Hathon

Umar Bhar Kuch Khawab Dil Par Dastak

$
0
0
Umar Bhar Kuch Khawab Dil Par Dastak Dete Rahe

Hum Majboor-e-Wafa The Aahaten Sunte Rahe...

Umar Bhar Kuch

Zakhm Ghungroo Pehen K Bethe Hain

$
0
0
Zakhm Ghungroo Pehen K Bethe Hain

Teri Yaadon Ka Raqs Jari Hai...

Zakhm Ghungroo

December Beet Jane Se Farak Parta Hai

$
0
0
December Beet Jane Se Farak Parta Hai Ab Kis Ko

Jo Rishta Dil Ka Rishta Ho Usy Mosam Se Kya Lena...

December Beet Jane

Har Wo Raat Bari Be-Chain Guzarti Hai

$
0
0
Har Wo Raat Bari Be-Chain Guzarti Hai

Jis Raat Me Gin'ne Ko Sitare Nahi Hote...

Har Wo Raat

Abhi Masroof Hun Kafi Kabhi Fursat Me

$
0
0
Abhi Masroof Hun Kafi, Kabhi Fursat Me Sochun Ga

K Tujhe Yaad Rakhne Me, Main Kya Kya Bhool Jata Hun...

Abhi Masroof Hun

Me Zindagi Ki Sakhawat Pe Kanp Uthta Hoon

$
0
0
Me Zindagi Ki Sakhawat Pe Kanp Uthta Hoon

K Be-Daregh Ye Zalim Luta Rahi Hai Mujhe...

Me Zindagi Ki

Sigrat Ko Sulagtey Dekha To Yun Laga

$
0
0
Sigrat Ko Sulagtey Dekha To Yun Laga,
Hum Mar Rahe Hain Aise Hi Tere Ishq Me....!

By: Syed Allay Raza

Aaj Tanha Hun To Kisi Ne Awaz Tak Nahi Di

$
0
0
Aaj Tanha Hun To Kisi Ne Awaz Tak Nahi Di,
Kal Jab Mehfil Mein Tha To Logon Ka Hajoom Tha....

آج تتنہا ہوں تو کسی نےآواز تک نہیں دی
کل جب تک محفل میں تھا لوگوں کا ہجوم تھا

Submitted by: Mr.Sagar

Ek Timtamata Hua Charagh Hun Mein

$
0
0
Ek Timtamata Hua Charagh Hun Mein,
Phoonko Na Piyar Sey, Kahin Mein Bujh Hi Jaon Na

Submitted by: Misbah

Khud Gharz Hota To Hajoom Hota Sath

$
0
0
Khud Gharz Hota To Hajoom Hota Sath

Mukhlis Hun Is Liye To Tanha Hoon...

Khud Gharz Hota

Mere Hisse Me Le De Kar Faqt

$
0
0
Mere Hisse Me Le De Kar Faqt Mehroomiyan Aain

Mujhe Bhi Shauq Tha Kitna , Mukaddar Aazmany Ka...

Mere Hisse Me

Bohat Umeed Rakhna Aur Phir Be-aas Hona Bhi

$
0
0
Bohat Umeed Rakhna Aur Phir Be-aas Hona Bhi
Bashar Ko Maar Deta Hai Bohat Hassas Hona Bhi

Suno Ek Kaan Se Aur Doosre Se Phaink Do Bahir
Bohat Takleef Di Hai Sahib-e-Ehsaas Hona Bhi

Yoon Hi To Abr-e-Rehmat Ki Talab Karta Nahi Koi
Zaroori Hai Muqadar Me Zara Si Payaas Hona Bhi

Bohat Se Qalb Ruk Jate Hain Khushiyon Ki Khabar Pa Kar
Hamen To Khoob Jachta Hai Ghumon Ka Raas Hona Bhi...

Bohat Umeed Rakhna

Zaroori Kaam Hai Lekin Rozana Bhool Jata Hoon

$
0
0
Zaroori Kaam Hai Lekin Rozana Bhool Jata Hoon

Mujhe Tum Se Mohabbat Hai Btana Bhool Jata Hoon

Teri Galiyon Me Phirna Itna Acha Lagta Hai

Me Rasta Yad Rakhta Hoon Thikana Bhool Jata Hoon

Bus Isi Waja Se Me Logon Ko Acha Nahi Lagta

Me Neki Kr To Deta Hoon Jatana Bhool Jata Hoon

Sharart Le Kr Ankhon Me Wo Uska Dekhna Toba

Me Nazron Pe Jami Nazren Jhukana Bhool Jata Hoon

Mohabbat Kab Hui Sub Yad Hai Kiun K

Me Kar K Mohabbat Ko Bhulana Bhool Jata Hoon...

Zaroori Kaam Hai


Zaruri To Nahi Jeene K Liye Sahara Ho

$
0
0
Zaruri To Nahi Jeene K Liye Sahara Ho

Zaruri To Nahi Hum Jin K Hain Wo Humara Ho

Kuch Kashtiyaan Doob Bhi Jaya Karti Hain

Zaruri To Nahi Her Kashti Ka Kinara Ho...

Zaruri To Nahi

Jese Khushboo Gulaab Se Bahir

$
0
0
Jese Khushboo Gulaab Se Bahir

Yoon Kabhi Aa Naqaab Se Bahir...

Jese Khushboo Gulaab

Honton Ki Hansi Ko Na Samjh Haqeeqat

$
0
0
Honton Ki Hansi Ko Na Samjh Haqeeqat-e-Zindagi

Dil Me Utar K Dekh Hum Kitne Udaas Hain Tere Bin...

Honton Ki Hansi

Khushi Mili Mujhe To Kai Gham

$
0
0
Khushi Mili Mujhe To Kai Gham Mujhse Rooth Gaye

Us Khushi Se To Gham Ache Jis Khushi Me Teri Khushi Na Ho...

Khushi Mili Mujhe

Har Ek Sawaal Ka Usko Jawaab Kya Dete

$
0
0
Har Ek Sawaal Ka Usko Jawaab Kya Dete

Hum Apni Zaat Ka Usko Hisaab Kya Dete

Jo Ek Lafz Ki Khushboo Na Rakh Saka Mahfooz

Hum Us K Haath Me Puri Kitaab Kya Dete...

Har Ek Sawaal
Viewing all 4366 articles
Browse latest View live


<script src="https://jsc.adskeeper.com/r/s/rssing.com.1596347.js" async> </script>